Aik Kisaan Apni Banjar Khaiti Ke Kaandhey Pe Baithaa
Soch Raha Hey
Ab Ke Baras Bhi Baarish Nahin Barsi
Ab Ki Baar Bhi Barkhaa Bhikaaran Ban Kar Hi Aai
Bhooki Pyaasi
Baadal Aatey Hein
Bigartey Hein Garajtey Hein
Aur Phir Kuch Kamzor Lamhon Ki Tarah
Hwaa Ke Zor Pe Urtey Kahin Door Chaley Jatey Hein
Wo Kisaan Soch Raha Hey
Ye Saawan Bhi Merey Baitey Jesa Hey
Aik Kaccha Rasta Aur Aik Boorha Dil Rond Kar
Barson Pehley Shehar Gya Tha
Tab Se Nazrein Usi Simt Lagi Hein
Assmaan Ke Us Kacchey Rastey Par
Jaaney Kya Hey Us Kambakht Shehar Mein
Baadal Ho Ya Baita
Jo Jaata Hey Lot Ke Aata Hi Nahin
Aik Boorha Kisaan Apni Ikloti Khaiti Ke Kaandhey Pe Baithaa
Soch Raha Hey
Din To Girtey Jaa Rahey Hein
Baarish Kyoon Nahin Girti