Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Breast cancer

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Breast cancer

    Assalamalikum

    yeh Mag kay leye likha tha :rose
    Roman urdu main save tha yaha post kar rahi houn :rose


    Breast cancer

    breast cancer aik mozi marz hai .yeh pori dunia main aam hai ..har saal dunia main kai khawateen is mozi marz ka shikaar ho kar jaa behaq ho jati hian . yeh beemari 40 say 60 saal kai omer main khawateen ko ho ho jati hai ..breast cancer khawateen main kafi pheelta ja raha hai ..or kuch mardoo ko bhi yeh marz lahaq ho jata hai .breast cancer ka Moaina khawateen khud bhi ghaar pay kar sakti hian ...kuch alamaat paai jaian to foran apnay doctor say rujoo karain ..or is marz ko pheelnay say bachaain ..waqat par is marz ki takshees say is ka elaj jald kia ja sakta hai or is maraz say nijaat mill sakti hai ..
    Breast cancer ki alaamat main breast main lumps(yani aik ghutli si ban jati hai )..breast ki shape or skin ka change ho jana , nipples main say khoon ka ikhraaj in alaamat main shamil hian ...agar khawateen aisi alamaat khud main mehsoos karain to fori elaaj karwain ..
    Breast cancer say bachnay kay leye ehteyati tadabeer pehlay si ki ja sakti hain ....apna wazan control main rekhye ..adha ghanta ki walk roozana karain ..apni khoorak main sabzeyaa,fruits , protiene zaror shamil karain ..alcohol or sugar wali drinks say parheez karain..bachoun ko doodh pilanay wali khateen main yeh marz kam paya jata hai ..kamazkam aik saal tuk apnay bachay ko khud ka doodh pilaaian ....smoking say parheezain karain..or agar kisi ki family history main pehlay say kisi khatoon ko yeh marz lahaq ho chuka hai to aap ko zaida ehteyaat ki zarorat hai aisi khawateen main marz ka khatra baki khawateen say zaida hota hai ..
    october ka maheena breast cancer ki awareness kay toor par manaya jata hia ..or pink ribbon breast cancer ki symbol kay toor par use kia jata hai.
    Attached Files
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

Working...
X