Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

souch ...?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Z.
    replied
    Re: souch ...?

    Originally posted by AbgeenA View Post
    walekumsalam

    me to zeada sochti hi nahi
    Tum khawab bhi nahi dekhti ho - tum itna sochti hi nahi ho ... akhir masla kya hai? (:

    Leave a comment:

  • Z.
    replied
    Re: souch ...?

    Originally posted by Aanchal View Post
    Assalamalikum
    kehtay hain bara soucho , baray baray target banao zindagi main pher us pay kaam karoo ..chandd tuk na pounch paaye to sitaray to mill hi jaian gay : d

    or dosri baat yeh kay ..apni chadaar dekh kay paoun pheelaoo ..apnay say neechay waloo ko dekho , baray baray khawab na dekho , zindagi main sub kuch nahi milta ..jo hai banda us main kush rehay bus ...

    in donoo cheezoo main aap kis baat ki taraf zaida yakeen rakhtay hian or kio ? koi misaal dena chahian gay is baray main ?
    ye dono baatein aik dosrey sey linked nahi hain.
    Pehli baat = harkat mey barkat hai (:
    doosri baat k mey do hissey ker deyti hun. Pehla hissa ".apni chadaar dekh kay paoun pheelaoo ..apnay say neechay waloo ko dekho " = modesty, ye insaan ko takkubr sey door rakhta hai, kyun k aap neechey waley ko dekhtey hein tau Allah ka shukr ada kertey hein.
    doosra hissa "baray baray khawab na dekho , zindagi main sub kuch nahi milta ..jo hai banda us main kush rehay bus ..." mujhey nahi maloom kaun sey context mey aeysa kaha jaye ga k barhey barhey khawab na dekho ?? or zindagi main sub kuch nahi milta ..jo hai banda us main kush rehay bus
    ye soch theek hai lekin iss soch ka insan pe ye influence nahi hona chahiye k ye soch insaan ko agey barhney sey hi rauk dey ....

    Mera vote "dream big" ko jata hai !!

    Leave a comment:

  • .
    replied
    Re: souch ...?

    Originally posted by Masood View Post
    Wa allaikum salaam Dono Madamaou...

    sitarey ziyada nazdeek hain keh chaand? :ekek: (zara qareeb'tareen sitarey ka naam to btaiyey :ekek:)
    door qareeb ki baat nahi ho rahi is quote main :p chaand zaida importance rakhta hai sitaroo say us ki baat kahi gai hai is main :p

    Leave a comment:

  • AbgeenA
    replied
    Re: souch ...?

    walekumsalam

    me to zeada sochti hi nahi

    Leave a comment:

  • Masood
    replied
    Re: souch ...?

    Originally posted by Aanchal View Post
    Assalamalikum
    ..chandd tuk na pounch paaye to sitaray to mill hi jaian gay : d
    Originally posted by saraah View Post
    waalikum asslam
    ..its true k chaand na sahi sitaray tou hath aajayen gay...... .
    Wa allaikum salaam Dono Madamaou...

    sitarey ziyada nazdeek hain keh chaand? :ekek: (zara qareeb'tareen sitarey ka naam to btaiyey :ekek:)

    Leave a comment:

  • sarfraz_qamar
    replied
    Re: souch ...?

    Chadar daikh kar paoo phailnay walaa makoolla to mjhay aaj kay door main kahin fit hota dikhaii naii daitaa...think big kay baghair yahan surviwe karna mushkil hai,jo ham hasil karna chahtay hain,by planning uss makssad ko achieve karnay ki pori koshish ki jaiey,rahi kamyabi ya nakami wo mukadar ka hissaa haii

    Leave a comment:

  • saraah
    replied
    Re: souch ...?

    Originally posted by Aanchal View Post
    Assalamalikum
    kehtay hain bara soucho , baray baray target banao zindagi main pher us pay kaam karoo ..chandd tuk na pounch paaye to sitaray to mill hi jaian gay : d

    or dosri baat yeh kay ..apni chadaar dekh kay paoun pheelaoo ..apnay say neechay waloo ko dekho , baray baray khawab na dekho , zindagi main sub kuch nahi milta ..jo hai banda us main kush rehay bus ...

    in donoo cheezoo main aap kis baat ki taraf zaida yakeen rakhtay hian or kio ? koi misaal dena chahian gay is baray main ?
    waalikum asslam
    1st se agree karoon hi..though i didnt vote..its true k chaand na sahi sitaray tou hath aajayen gay...... batain dono apni jagha pe theek hai lakin pas manzar different hai..... doosri baat ko aap qanayat k hawalay se le sktay hain.jab aap kuch big achievment nae kr skay apni tumam tar tadbeer k bawjood,then aap iss pe aayen....agar aap pehlay se hi yeh soch rakhtay hain tou aap kuch b nae kar paayen gay....as u know a man is wht he thinks.

    Leave a comment:

  • S.Athar
    replied
    Re: souch ...?

    بندہ بڑے پلان بنائے اور پورے یقین کے ساتھ اُس کی جستجو میں لگ جائے

    بڑے پلان بنانے سے انسان محنت بھی زیادہ کرتا ہے اور اگر کلی طور پر سب کچھ حاصل نہ بھی ہوتو کچھ نہ کچھ ضرور حاصل کر لیتا ہے

    اب جس فرد کی سوچ ہی محدود ہوگی اُس کی تگودو میں وہ حوصلہ اور ہمت بھی نہیں ہوگی اور اگر کچھ حاصل بھی کر سکا تو چھوٹی سوچ میں سے کیا حاصل کیا ہوگا

    Leave a comment:

  • Mr. Sialkoty
    replied
    Re: souch ...?

    Think big, plan solid, exert ur utmost energies in right directions, be satisfied and let the God decide your fate.

    Leave a comment:

  • .
    started a poll souch ...?

    souch ...?

    4
    bari souch
    75.00%
    3
    Limited souch
    0.00%
    0
    banda suchay hi na ...!
    25.00%
    1

Working...
X