Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Yeh Kaisey Log Hain???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Daood
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Bohut acha

    Leave a comment:


  • aabi2cool
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Originally posted by EEmaan View Post
    Agar aap aik acha ammal kertay hai tu u will get reward for it

    oor bura tu aap ko saza milay ghe

    one thing is clear agar aap koi kaam khud nahe kertay tu aap ko woh kaam doosroo k nahe kehna chaiay

    agar koi namaaz perta hai pabandi kay sath tu woh doosroo ko talqeen ker sakta hai

    aamaal ka daroomadaar neeyaatoo per hota hai

    ho sakta hai ehsay loag naamaaz ko tawajoo se na aadaa kertay hoon

    any how we must think positively

    naik ghumman rakhna chahiay
    iam agreed with u

    Leave a comment:


  • EEmaan
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Originally posted by *Rida* View Post
    Walaikom Assalam...
    hum primary classes say perhtay aarahay hain...keh nimaaz buri batoon say rokti hai.....uray kamooN say / gunahoOn say bachati hai.........agar koi shakhs Nimaaz perh kar bhi aisa karta hai ...tu is ka matlab hai abhi us kay dil ko hidayat nahin mili hai.....woh sirf apnay jism ko Nimaaz main mashghol kar pata hai ....us ka Dil o Dimaagh us kay saath nahin........hum yeh hadees bhi perhtay hain...keh kitnay hi loag hongay jin kay din mein rakhay janay walay rozay aur ratoON ko jaag kar ki gai ibadat un kay monh per maari jaiy gi.....Hozoor-e Qalb kay baghir Nimaaz ka maqsad hasil nahin ho sakta....
    kuch din pehlay TV per aik programmm dekh rahi thi...jis mein aik sahab nay bataya...unhoooN nay kuch loagooN ko buht khusho khuzo kay saath nimaaz perhtay hoye dekha...tu buht mutassir hoye aur ja kar un ki tareef ki ...aur waja bhi pochi...tu unhoon nay bataya keh hum tajir hain....milawat kartay hain ,,,naap toul mein kami baishi,,,....jab hum wahan gunah kar laitay hain...tu yahaN nimaaz buht achi tarah prhnay ki koshish kartay hain......
    beshak namaz buray kaamoo se rokti hai oor achai ki targheeb dilatee hai

    surah e mahoon main likha hai k Allah ki lahnat hai un loagoon per jo reyakaar hai
    yehni dekaway ki namaz perhtay hai

    oor yeh b aap kay ilm amin hai kay bahut se loagoon ki namaz unn kay mounh per mar de jaye ghe

    oor phir humein yeh b tu khiyaal kerna chaiay k hum chund loagoon ki baat ko sub per q laghooo kerain

    sab se bara masla hai k hum main se aksar ko yeh hi nahe pata k hum namaz main perh kia rahe hootay hai

    arabic se lailmi se humain deen ka sahee fahem anhe milta oor hum molvee's per dependant hootay hai

    agar humein namaz ka terjuma yaaad hoo oor hum tawajooo se namaz aadaa kerin oor apnay kehay huay alfaz ko samajnay ki kohsish kerin tu iss main koi shaq nahe hai k namaz buriey se roaktee hai

    humein naik ghumaan rakhna chaiaey

    oor Allah behtr janta hai

    Leave a comment:


  • raafi
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Originally posted by Masood View Post
    Assalamo allaikum - Me again with a garma garm topic

    Ham musalmano ney apney mazhab key saath aik ajeeb sa nata jorr rakha hai. Main ney kuchh logon ko dekha hai jo namaz ki pabandi kartey hain, aur doosron ko talqeen kartey hain keh namaz kam az kam zaroor parha karein. Lekin woh log apni amli zindagi mein doosrey logon sey jhoot bolney mein rati braber ijtinaab nahin bart'tey. Peeth peechey har woh kaam kartey hain jo who kehtey hain keh ham nahin kartey. Doosrey logon sey buri zuban mein baatein kartey hain, gali galoch bhi kartey hain. Lekin namaz roza woh pabandi sey karien ge. Mera sawaal yeh hai keh aisi nazamon ka kya faedah??? Kya aisey logon ko doosron ko naseehat karna chahiye??? Namaz ko bakhshish ki dhaal samajh kar, logon sey jhoot, dhoka, fraud karney walon key barey mein aap kya kehtey hain???

    Iskey bar'aks woh log jo be'namazi hain, magar har mumkin koshish kartey hain keh jhoot waghera sey bachein, kisi ki dil'shikni na ho, jo kehtey hain woh kartey hain. Aisey logon key barey mein kya kehtey hain???
    masood bhai zabardast baat ki hai.... lakin yaar pata nahi kab hum log ab sudhrain gay...... kab akal aae gi..... aur kab hum yeh sub kuch chor dain gay.....

    Leave a comment:


  • ASAD
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Originally posted by *Rida* View Post
    Walaikom Assalam...
    hum primary classes say perhtay aarahay hain...keh nimaaz buri batoon say rokti hai.....uray kamooN say / gunahoOn say bachati hai.........agar koi shakhs Nimaaz perh kar bhi aisa karta hai ...tu is ka matlab hai abhi us kay dil ko hidayat nahin mili hai.....woh sirf apnay jism ko Nimaaz main mashghol kar pata hai ....us ka Dil o Dimaagh us kay saath nahin....
    Aslam-0-alkam.. Rida ji k bat se itfaq karon ga.. kion k quran pak main hy k (beshak namaz behiayee or bury kamo sey rokte hy ) ager koe namaz parny k bawjood bury kamo sey nahe rukta to its mean k wo namaz sirf or sirf dekhaway k liya parta hy.. Allah k liya nahe.... Allah hamy namaz parny or achy kam karny ke tofeeq day.. Ameen..:rose

    Leave a comment:


  • EEmaan
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Agar aap aik acha ammal kertay hai tu u will get reward for it

    oor bura tu aap ko saza milay ghe

    one thing is clear agar aap koi kaam khud nahe kertay tu aap ko woh kaam doosroo k nahe kehna chaiay

    agar koi namaaz perta hai pabandi kay sath tu woh doosroo ko talqeen ker sakta hai

    aamaal ka daroomadaar neeyaatoo per hota hai

    ho sakta hai ehsay loag naamaaz ko tawajoo se na aadaa kertay hoon

    any how we must think positively

    naik ghumman rakhna chahiay

    Leave a comment:


  • lucky
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    wa alikum aslam
    g u r absolutely right
    main ny b aisy bohat say log dekhy hain
    aisa krna sraasar ghlt hai
    or namaz rozy ka ajr to Khuda day ga

    Leave a comment:


  • *Rida*
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Originally posted by Masood View Post
    Assalamo allaikum - Me again with a garma garm topic

    Ham musalmano ney apney mazhab key saath aik ajeeb sa nata jorr rakha hai. Main ney kuchh logon ko dekha hai jo namaz ki pabandi kartey hain, aur doosron ko talqeen kartey hain keh namaz kam az kam zaroor parha karein. Lekin woh log apni amli zindagi mein doosrey logon sey jhoot bolney mein rati braber ijtinaab nahin bart'tey. Peeth peechey har woh kaam kartey hain jo who kehtey hain keh ham nahin kartey. Doosrey logon sey buri zuban mein baatein kartey hain, gali galoch bhi kartey hain. Lekin namaz roza woh pabandi sey karien ge. Mera sawaal yeh hai keh aisi nazamon ka kya faedah??? Kya aisey logon ko doosron ko naseehat karna chahiye??? Namaz ko bakhshish ki dhaal samajh kar, logon sey jhoot, dhoka, fraud karney walon key barey mein aap kya kehtey hain???

    Iskey bar'aks woh log jo be'namazi hain, magar har mumkin koshish kartey hain keh jhoot waghera sey bachein, kisi ki dil'shikni na ho, jo kehtey hain woh kartey hain. Aisey logon key barey mein kya kehtey hain???


    Walaikom Assalam...
    hum primary classes say perhtay aarahay hain...keh nimaaz buri batoon say rokti hai.....uray kamooN say / gunahoOn say bachati hai.........agar koi shakhs Nimaaz perh kar bhi aisa karta hai ...tu is ka matlab hai abhi us kay dil ko hidayat nahin mili hai.....woh sirf apnay jism ko Nimaaz main mashghol kar pata hai ....us ka Dil o Dimaagh us kay saath nahin........hum yeh hadees bhi perhtay hain...keh kitnay hi loag hongay jin kay din mein rakhay janay walay rozay aur ratoON ko jaag kar ki gai ibadat un kay monh per maari jaiy gi.....Hozoor-e Qalb kay baghir Nimaaz ka maqsad hasil nahin ho sakta....
    kuch din pehlay TV per aik programmm dekh rahi thi...jis mein aik sahab nay bataya...unhoooN nay kuch loagooN ko buht khusho khuzo kay saath nimaaz perhtay hoye dekha...tu buht mutassir hoye aur ja kar un ki tareef ki ...aur waja bhi pochi...tu unhoon nay bataya keh hum tajir hain....milawat kartay hain ,,,naap toul mein kami baishi,,,....jab hum wahan gunah kar laitay hain...tu yahaN nimaaz buht achi tarah prhnay ki koshish kartay hain......

    Leave a comment:


  • .
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Originally posted by *kitty* View Post
    yahm muje ik banda hai us ki tareef karni haiy
    yeh thread tareef karnay key leye start kia gia hai ?
    thread say related post kia karian .....!

    Leave a comment:


  • La'hasil
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    :) MaIn Aik baat Kehti hooN Aik Chup Aur So Sukh Bus Aur Jahaan Tak Namaz Rozay ki baat hai tu wo Har koi APpney liye hi parta hai Waise bhi us ki koi Maafi nahin :)

    Leave a comment:


  • Saira_abdul
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    yahm muje ik banda hai us ki tareef karni haiy

    Leave a comment:


  • Masood
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Re-opnening this thread!

    Leave a comment:


  • Spy009
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Jahan tak pehle wale shakhs ki baat hai...wo ghalat hai...unka ama'al dikhawa ka hai...usey Deen ka matlab nahin maloom,

    Dusrey shakhsha...ke baarey mein yehi kahoonga ke "Baghair namaz ke koi neki qabool nahin hoti"

    Allah ham sab ko nek raah pe chalney ki taufeeq ata farmaye

    Leave a comment:


  • 'SamRazi'
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    Tafseel se baat kerne ki bajayeh sirf itna btaoun gi

    Ek martaba ek sahabi Hazor-e-akram (S.A.W.W) ke pass aayeh or kaha, ek shaks hai jo din bhar koi kaam nahi kerta, kerta hai to haram, magar raat bahr namaz aur nawafil parhta rehta hai, aisey insan ki namaz kis kaam ki, To ounhon ne fermaya, buhut jald ous ki namazein ousey in kamo'n se hata dain gi"
    Isalm mei pehla hukam hi namaz ka hai, merne ke baad pehla sawal hi namaz ka ho ga, baqi batein to baad ki hain. Wese bhi jo shaks naik niyati se namaz parhta ho, ho nahi sakta galat rastey per chaley yaan bhatkey. Jo aisa kertey hain yaan namaz nahi parhtey, wo oun ke imaan ki kamzori hai. khuda ke samney kis mou se jayein gai ???

    Leave a comment:


  • Muhammad Khalil
    replied
    Re: Yeh Kaisey Log Hain???

    bhai jo main ny atach ment kee hay aur ayat ka tawatar dekhain....
    pehly konsy naik kaam kerny hain aur namaz ka hukam kis makam per aya hay..

    Leave a comment:

Working...
X