Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

'Express yourself'

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Express yourself

    Originally posted by Gul View Post
    aksar hee faisal karna kafi mushkil ho jata hay , kuch samjh nahi aata jo hum karnay ja rahay hein , wo kahin hamary haq mein olta na ho ja-ay , kabhi kabhi hum jab khud faisla nahi kar patay tu atraaf mein moojood loag ..aap ko koi kam kar guzranay per majboor kar daytay hein , apnay amal say , apni batoun say , jo kabhi tu buhat ...acha rehta hay magar kabhi...sab kuch dhrham bharham ho jata hay ..aur insan .....soachta reh jata hay keh aisa kyun kar howa...........!
    phir kya kerna chahiye??
    i mean decision kaisey leyna chaiye?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #17
      Re: Express yourself

      @ topic:

      Aksar oqaat insaan per aisa dor aata hai keh dil mein bohat toofan machal rahey hotey hain magar unka izhaar nahin kiyaa jaa sakta. Aisey jazbaat, ehsasaat, sochein, fiker.. jo fil'waqt bohat shiddat key saath tease kar rahi hoti hain, magar unhein share nahin kiya jaa sakta. Aap janti ho keh mujh per woh dor hai aur isi liye main ney khud ko elag rakha huwa hai. Kehtey hain keh baat karney sey dil ka bojh halka ho jata hai, magar baat karney sey baaz oqat yeh bojh barh bhi jata hai.... Shayid kuchh batein aisi hoti hain jo apney aap sey bhi chhupaii jaein to behtar hota hai....
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #18
        Re: Express yourself

        Originally posted by Faith View Post
        phir kya kerna chahiye??
        i mean decision kaisey leyna chaiye?
        faislay kee door baz oqat nazuk hoti hay magar os dum hum ko mazboot hona chahiyay takeh koi bhi external qowat hamein kamzore na kar day aur hamein hamaray faisaly say na hata day ..os kay bad bharosa apnay bana-nay walay per aur phir khud pay kar kay faisla kar lein...aur phir peechay mur kar na daykhein kyun k jis per aap nay bahrosa kia hay ..woh ab malik hay sab kuch ka...

        Comment


        • #19
          Re: Express yourself

          yeh mushkal kam hum sy nahi hutay:mm:

          Comment


          • #20
            Re: Express yourself

            Originally posted by Faith View Post
            hamein umeed hai key aap apney waadey per kaim rahein gi :thmbup:

            "Udaasi" ko kam sey kam aik din key liye locker mey band ker do :d

            wish you all the best!
            haan subho se to lock kia hua he udasi ko:) n thanxx for ur wishes Faith:)

            Comment


            • #21
              Re: Express yourself

              Originally posted by Gul View Post
              faislay kee door baz oqat nazuk hoti hay magar os dum hum ko mazboot hona chahiyay takeh koi bhi external qowat hamein kamzore na kar day aur hamein hamaray faisaly say na hata day ..os kay bad bharosa apnay bana-nay walay per aur phir khud pay kar kay faisla kar lein...aur phir peechay mur kar na daykhein kyun k jis per aap nay bahrosa kia hay ..woh ab malik hay sab kuch ka...
              thanks!
              I hope everything gonna be fine inshAllah
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #22
                Re: Express yourself

                Originally posted by shy View Post
                haan subho se to lock kia hua he udasi ko:) n thanxx for ur wishes Faith:)
                good girl :thmbup:

                n you welcome shy:d
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • #23
                  Re: Express yourself

                  In whichever condition He keeps me,

                  it is the best condition for me.

                  Through whichever route He takes me

                  it is the easiest route for me.


                  Be happy for this moment, this moment is your life.



                  Thank you Ya Rab!
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #24
                    Re: Express yourself

                    waqt bohat ajeeb hai .. bohat saalon se kuch aur thaa abhi kuch aur hai ..
                    na jaaney kion itni anjaan rahi .. bachpan main jab Quran Paak parhna seekha tab aik wish thee.. ke I might read it with translation n detail of all moments of new islamic era .. jab Nabi kareem (PBUH) aaye Quran paak ka nazool hua .. aur bohat kuch .. shayed life main first time aiesa hua .. ke Ramazan ka chaley jana acha nahen laga .. sach mein bohat kuch reh gia ..
                    Seriously .. Islam ko detail main jan-ney ki koshish main hoon .. abhi kuch bhi nahen janti hoon .. Jaan-na chahti hoon .. samajhna chahti hoon.. phir human experiments.. logon ke thoughts .. ghuroor, sawal, Mehram / Na Mehram ki tameez hotey huye .. anjanon se wo pyar ke .. us pyar .. mein to simply lust kahoon gi .. ke is ki aarr mein parents , deeen , sab bhulaye bethey hein ..
                    But thanks Allah .. ke ham logon pe kitna barra karam hai .. ke Rab Ta'laa ne .. Musalmaan peda kia .. akser dunyawi ghamon ke hisaar mein sochti thee.. life bekaar hai .. Na-Aaooz Billah .. shayed Allah meri hi dua nahen suntey .. Sorry Allah ji .. bohat kuch hai jab tak khud na chahen samajh nahen aati .. ehsas nahen hota .. ghussa ghaalib aa jata hai .. aur bohat kuch .. dar lagta hai .. ab maut se .. is liye ke maut ke baad jis Zaat E Aqdas ke saamney haazri hai .. wahan ke liye tayyari kuch bhi nahen ..
                    Allah Reham Allah Reham .. Allah se dua hai .. janey anjaney jo ghaltyan ki hain jo ho rahi hain .. Rab ta'alaa unhen darguzar fermaa dey aameen ... :dua
                    Visit My Early PS Work
                    You Are Welcome To Comment

                    Comment


                    • #25
                      Re: Express yourself

                      ^Ameeen
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • #26
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • #27
                          Re: Express yourself

                          Islam ney hamein hamesha behtareen guftugu kerna seykhaya hai

                          aap ki zaban sey nikala hua sirf aik lafz bhi saamney wala ka dil taur sakta hai kyun key dil hamesha sey nazuk raha hai.....aap kitney bhi bahadur hon leykin aap ka dil hamesha nazuk rahey ga
                          issi liye kehtey hein key behtareen kamyaabi "moral victory" hai .....agar koi aap sey chahey kitna bhi talkh lahjey mey baat karey magar in return aap uss sey poorey respect key sath baat karein to is ka us bandey per bohot acha assar perhay ga aur ho sakta hai wo iss sey kafi kuch seekh bhi ley ....... yahi aap ki "moral victory" hai
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • #28
                            Re: Express yourself

                            Zindagi mey kabhi bhi "dead end" nahi aata-------is ko aap yun samajh lein key jab aik raasta aap ko band miley ga to koi doosra raasta aap ka muntazir ho ga---agar aik friend aap kho deytey hein to aap ko aik naya friend mil jaye ga-----

                            kyun key zindagi "aagey barhney" ka naam hai to "End" jaisi koi cheez yahan nahi hai

                            even aap ki death bhi nahi kyun key "maut" sirf aap ko eternity mey ley ker jaaney ka aik raasta hai
                            Last edited by Z.; 7 November 2006, 15:03.
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment


                            • #29
                              Re: Express yourself

                              as usual all the day went in searching for the actual meaning of Life.
                              "All I have learned from Life is that I know nothing."




                              Comment


                              • #30
                                Re: Express yourself

                                office mein hoon aur namak ke panay se gharaaray ker raha hoon...kisi ne kerne hein to aa jaye :lol:
                                :thmbup:

                                Comment

                                Working...
                                X