Janab-e-Mohtram Wazir-e-Aazam Shaukat Aziz farmatey hain keh ".. aman hasil karney key liye taqatwar hona zaroori hai" .... Maantey hain ham is baat ko keh kamzor har kisi key munh ka nawala bohat aasani sey ban jata hai. Magar sochney ki baat yeh hai keh aik mulk jis mein ghurbat arooj pazeer hai, jahan berozgari intihaa ko pohanch chuki hai keh naujawan kaam na milney ki wajah sey daakey daal rahey hain, wahan per jitna paisa dafaa per sarf kiya jaa raha hai, agar uska aik tahaee bhi unki ghurbat khatam karney per sarf kiya jaey to kya hamarey halaat behtar nahin ho saktey????
Budget ka ziyada tar hissa defence khaa jata hai, taleem per sab sey kam kharcha kiya jata hai. Aisa kyun hai? Aisa is liye kiya jata hai keh ilm shaoor deta hai, shaoor soch bakhashta hai, soch sawaal karti hai, sawaal jawab mangta hai, jawab jhoot ko janam deta hai, jhoot tension pedah karta hai, tension irritation ko janam deti hai, irritation be'sabri ki wajjah banti hai, be'sabri apna haq fil'for hasil karney key ley uksaati hai - aur agar haq na miley to hangamey hotey hain.
Ilm woh wahid zariyey hai jo taraqi ki janib ley jata hai - agar ilm hasil ho jaey to insaani naee naee rahein talash karta hai - aur yehi woh rahein hain jo na hamarey naam'nehad leaders apni awaam ko talashney detey hain aur na hi bahir ki badi badi taqaten chahti hain keh hamarey mulk mein shaoor pedah ho. Agar ham khud cars ki production karna shuru kar dein gey to bahir sey gadi kaun laey ga?
Isi tahra badi badi aslah saaz firmon ney duniya mein tension phaila rakhi hai aur inki tension ko hawa deney waley hamarey leaders unkey agents ban ker chhaey huwey hain.