Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dahshat gard kon ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dahshat gard kon ?

    Assalam o Alaikum WR WB
    Attached Files


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Dahshat gard kon ?

    Walaikum Assalam..

    ...

    Comment


    • #3
      Re: Dahshat gard kon ?

      Brown: Usama bin laden Pakistan mey maujood hai.
      Kerry: Intehapasand Pakistan k nuclear hathyaar pe qabza kerna chahtey hein.

      Z. : ^^ aap hamein ye batayein k aap dono kya chahtey hein? :@
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #4
        Re: Dahshat gard kon ?

        Mehwish... kuchh is per main ney 2002 mein likha tha...

        http://www.pegham.com/masood01/3594-...gard-kaun.html
        مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
        نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں

        Comment


        • #5
          Re: Dahshat gard kon ?

          Walaikum Assalaam WR WB

          Mehwish, bohat hi umdah tehreer hay jiss main maloomat kay saath saath tareekh ki woh talkh yaadain hain jinn ko paRh kar dil khoon kay ansoo rota hay.

          Masood Bhai, main nay aap ki likhi hoyee tehreer bhi paRhi aur waqayee aap kay dard ko mehsoos kia jo 2002 main aap nay mehsoos kia jab America nay Aqwam-e-mutahidda kay General Secretary Kofi Annan ki baatoon aur faisloon ko mad-e-nazzar rakhtay huway "war against terrorism" ki ibtida AFGANISTAN see ki aur phir Iraq iss war ka hissa bana, Pakistan bhi aik alliance kay roop main iss WAR ka hissa bana!!!

          Tareekh gawaah hay kay har JANG kay aftermaths hotay hain, aur iss jang kay aftermaths kar sab say ziyda asar PAKISTAN ko paRa, aaj Pakistan duniya main sab say khatarnak aur dehshatgard mulk kay naam say jaana jaata hay... ki

          Chand dino pehlay aik survey shaya hua jiss main PESHWAR ko duniya ka khatarnaak tareen shehar qarar dia gaya, aur usskay baad Qabul ka number tha.... issi tarahn Karachi ka number Bangladesh kay Dhaka say bhi neechay tha....!

          Wohi Karachi jahan humaray baba-e-qoum dafn hain? Wohi Peshawar jahan baab-e-khaibar hay?

          Aap dono ahbaab kay sawaal aur uss kay jawab.... isi tehreer main hain, hum jaisay naqis aqal kia jawaab dain gain, haqeqat tou sab kay samnay hay, magar iss haqeqat ko hum tasleem karnay kay bawajood aaj tak GHAFLAT ki neend so rahay hain....

          Scorpion_RullZ ki aik post haal hi main Gupshup section main aayee, jiss ka unwaan tha WAKE UP, go kay woh simple sa aik sawaal tha kay aap ko kaisay uthaaya jaata hay? aaj aap dono ki tehreer paRh kar na jaanay kiyon woh yaad aagayi..... unhoon nay apnay baaray main kuch yoon likha tha...

          QUOTE
          Me kay abba me ko gudgudi kar kay uThatay haiN
          Me ki amma me ko zour zour say darwaza baja kar uThati haiN
          Me ka bhai computer par zour zour say milli naghmay chala dayta hai ya phir mery mobile par call karta rehta hai
          me ki little sis me ko zour zour say DanT'ti hai

          UNQUOTE
          Aaj humain bhi iss GHAFLAT ki neend say uthnay ki zaroorat hay, hum jab tak apnay aap ko aik QOUM tasawurr nahin karain gain, isi tarah pasti ka shikaar rahain gain, humari pechan hum say kho gayi hay, humain aisi QUAID ki zaroorat hay tou aik baap ki taraah SHAFQAT say humain GUDGUDIYAN day kar utahay, aisi FATIMA JINNAH ki zaroorat hay jo darwaza baja baja kar humaray wajood ko jhinjhoR day, aisay LIAQUAT ALI KHAN ki zaroorat hay jo aik bhai ki tarah humain MILI NAGHMAIN sunayay bhi aur usski TASHREEH say humaray soyay huway wajood ko uthayay bhi.... aur issi tarah RANA LIAQUAT jaisi behnoon ki zaroorat hay jo khawateen kay dilon main shour paida karain aur daant daant kar unhain uthayain!!!

          May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

          FI Amaan ALLAH
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Dahshat gard kon ?

            bohat khoob Mehwish:thmbup:
            israil n america hi asal dehshatgard hen

            Comment


            • #7
              Re: Dahshat gard kon ?

              ASSALAM O ALAIKUM WR WB...

              Aap sab kay izhar-e-khayal ka bohat shukria..
              khush rahain


              میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


              میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

              Comment

              Working...
              X